Kadamb ka ped
Jaadhey k dino mei, kayi saalon baad
Aaj phir waapas aaya wo maali
Jo shayad kho gya tha kisi raat
Dhundta un paudhon ko
Lagaaye the jo apne haath
Haye kahaan gayi wo belein
Aur wo sawaare hue baag?
Thi ek aandhi aayi,
Kaale baadalon k saath
aur barsa na jaane kahaan se wo toofan.
Le gya bahaakar jo sare khushiyon wale raag.
Din beetey saal beetey
Yun hi beet gye din raat
Na jaane phir kahaan se usko aaye beetey din yaad
Jab Na rahe mahine yaad
Thiturti si iss thand mein,
Jaadey mei simta apni us hi puraani si khesi mein
Dagmaate hue kadmo sang, aaya wo is raah
Budhi ho gyi thi haddiyan, thi gayi safedi chhaa
Un gehri aankho par jo hua karti thi kabhi syaah
Ek ped lagaaya tha maine,
Beechon beech mere is baag
Tha nanha sa hi paudha wo
Par ab beet gye kayi saal
Haye kitni raatein beet gayin
Din beete, phir saal
Kya baki hoga wahi ped
Reh gya hoga wo hi baag?
Mitti se mitti hokar wo pahucha us hi raah
Na tha wo baag na belein thi
Kuchh alag sa tha veeran
Haye kahaan gaya wo nanha paudha
Jise raha main baanch
Ek Kadamb ka ped khada the wahin kahin aaspass
Beet gye the din mahine
Aur beet gye saal
Jo kabhi tha ek nanha paudha aaj ho gya ped vishal
Din the beetey, beeti raatein
The beet gye kayi saal
Sardi, garmi, toofano se lada tha wo din raat.
Haye kaise batlata mali,
Kitna tha abhaga
Baag sajaa kar apne haathon se
baaghban na reh saka tha wo
Ab kaun tha mali aur kyun na tha
Kis se puchhe wo Kadamb ka ped
Haye abhaagi kismat ko rote dono ke nain
Chhaya mein us Kadamb ki baitha wo mali din rain
Rota apni kismat ko
Aur sojata phir se sang chain
Beetein yun hi kayi din phir ayi yaad wo raiyn
Akhir nanha paudha tha Kadamb ka jo aaj bana hai ped
Ankhiyo mein ashru liye, Uthakar apna jhola
Uth chala wo mali aur jaatey jaatey bolaBaghban to wo hai jo rachta sara khel
Haaye mera lagaya paudha aaj ho gya Kadamb ka Ped
Haye mera Kadamb ka Ped.
Mast h. Thoda sa meter improve ho sakta h and less repetition. Like first paragraph me third line is not needed. Also 9th para and 10th para are same. Overall the emotions are relatable. Glad I found it. ☺
ReplyDelete